Ek Ankahi Sa Rishta

Na koi alfaaz hai mere paas
Na hi howsla 
bas kosis yahi rahegi ke
Na doori rahe na faasla

ek anokaha sa rishta tha wo
jise na bayan kabhi kr payenge
pal me juda aur pal me bikhar gaya sab
jise na kabhi bhul payenge

dosti humne v ki thi aur unhone v
wo din unhe v yaad aayenge
kasar kanha raha is rishte me
wo na kabhi dhund payenge

kuch naam nhi tha is rishte ka
na hi hum kabhi de paye
sayad na reh paye aise rishte is duniya me
is dar se wo sab bhulana chahe

bohat samjhaya is dilko 
is rishte ka mol bataya humne
par kya jane kya soche ye dil
bol betha , acchi nhi hai aisi dosti
aisi dosti hum nibha na payenge

socha tha karenge dosti
rahegi humesa ye yaari humari
sayad sach me kuch galat tha is rishte me
isliye na suni khuda ne v baat saari

bas alvida lete hai hum
na roka jaye is aansoon ko humse
taklif to unhe v hoti hogi
bas darte hai wo apnepanse


Suvasis...

Comments

Popular posts from this blog

Tera Sath

Tamanna

Tu hi hai