Posts

Showing posts from 2018

Ye sard hawa

Har saal hai aati ye sard hawa Par isbaar to kuch khas hai Aisa lagta is hawa me Bas tera hi ehsaas hai Ye hawa to unke wanha Kabhi sard me behta hoga Ye hawa to unko bhi Kabhi kuch baaten kehta hoga Man krta hai thaam lun In hawa ko apne bahon me Kyn ke ye hawa ne unko bhi Kabhi pyar se sameta hoga Jo bhi baaten krta hn mein Chupke se in hawao se ye hawa jab gujarti hogi Unke ghar k raho se Kya ye hawa mere baato ko Unke paas pohonchata hoga Kya un sab pyari baato ko Unke kaano me kehta hoga Bas kuch din ki to baat hai Ab ye baate sidhi hogi Baate in hawa se nahi Ab to bas deedaar si hogi Khayalo se utar k ab Bas wo mere pass hogi Dekha hun ab tak unko me Mere wo sard khwabo me Aayegi jab wo saamne mere Bas bharlunga mere bahome Kehdunga kitna pyar hai Mere ruhh se bhi ikraar hai Manzil ka koi fikar kanha Jab tere jaisa yaar hai Suvasis... x

Tere Liye

Yuhi bethi rahe tu palko me bas dekta rahun in aankho ko na dur karun apni nazron se bas thame rahun in bahon ko Meri jaan ye ab teri hai saari khusi bas teri hai jo karna hai tu karle ab puri zindagi bas teri hai Hai tu pagal thodi si hai tu nadaan thodi si par tere zid ke aage to main jhukadun is duniya ko Mere zindagi ab bas tu hi hai maine dekha hai in lakiro ko ab sath sath chalna hai hume thame in sone haato ko Mere soch me ab bas tuhi hai tu puch le mere sanso ko le yakin ab karle mujhe kabhi padh le meri ankho ko Na dur kabhi reh sakta tujhse na dur kabhi main jaunga tere sath sath har ek pal ko main has has ke yunhi bitaunga Suvasis...