Ye sard hawa


Har saal hai aati ye sard hawa
Par isbaar to kuch khas hai
Aisa lagta is hawa me
Bas tera hi ehsaas hai


Ye hawa to unke wanha
Kabhi sard me behta hoga
Ye hawa to unko bhi
Kabhi kuch baaten kehta hoga
Man krta hai thaam lun
In hawa ko apne bahon me
Kyn ke ye hawa ne unko bhi
Kabhi pyar se sameta hoga


Jo bhi baaten krta hn mein
Chupke se in hawao se
ye hawa jab gujarti hogi
Unke ghar k raho se
Kya ye hawa mere baato ko
Unke paas pohonchata hoga
Kya un sab pyari baato ko
Unke kaano me kehta hoga



Bas kuch din ki to baat hai
Ab ye baate sidhi hogi
Baate in hawa se nahi
Ab to bas deedaar si hogi
Khayalo se utar k ab
Bas wo mere pass hogi


Dekha hun ab tak unko me
Mere wo sard khwabo me
Aayegi jab wo saamne mere
Bas bharlunga mere bahome


Kehdunga kitna pyar hai
Mere ruhh se bhi ikraar hai
Manzil ka koi fikar kanha
Jab tere jaisa yaar hai


Suvasis...


x

Comments

Popular posts from this blog

Tera Sath

Tamanna

Tu hi hai