Zindagi
zindagi wo neele samandar si hoti hai
kabhi kanhi khayi to kabhi lehre si hoti hai
bhale hi dikhe wo bahar se hasti muskurati
par andar se apne wo gum chupayi roti hai
Zindagi ek band kitaab si hoti hai
har ek panne me koi kissa likhi rehti hai
chahe jitne purane kyun na ho koi kissa
aati hai yaad wo sab kisse ki
jaise panno me sukhe gulab dabi rehti hai
Zindagi ek sukhe patte ki tarah hoti hai
najane kitne hawa ka jhoka use uda le jati hai
na kehta kabhi kuch un behti hawao ko
bas chupke se unke khusi me khudko dubo de jati hai
Zindagi ek behti jharna si hoti hai
takra k patharo se v muskurati rehti hai
hota hai dard un patharo se takra k use
par us dard bhari awazo se bhi
sabke dilko lubha de jati hai
hai kayi rup , hai kayi naam
bas chalna hai uska hi kaam
sukh kabhi deti to dukh kabhi
par har ek bar ek paath padha de jati hai
Everyone learns something from their past . It doesn't matter, whether the past was good or bad .
Suvasis...
Comments
Post a Comment