Wo yaadein

wo yaadein kuch khas hai
wo beete pal humesa paas hai
na padhoge kabhi tum jante hai hum
par phir v kyun na jane
is dil me ek aas hai

tha wo ek aisa rishta
na kabhi bhul payenge
zindagi koi bhi mod lele
wo humesa yaad aayenge

wo ladna wo jhagadna wo ruthna wo manana
wo pyar bhari baato se phir kuch keh jana
wo masti bhare din na kabhi aur payenge
zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge

anjaane me hi sahi galti kiya tha humne
ek pyarisi dosti ko tod diya tha humne
na milega aisa yaar na kabhi aur payenge
zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge

dosti chuti rishta tuta, tuta sara biswaas
aag lagi thi seene me na bujhne ki thi aas
khud ko kabhi hum na maaf kar payenge
zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge

kya dur huye tum, door huye saare rishte
ab kaise sambhale inko bas yahi hum hai sochte
na jane ab phir khud kab sambhal payenge
zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge

usdin se na jane kis mode pe chali hai zindagi
na khusi ki ehsaas hai na gum ki dukh
har taraf hi dikhe bas apni galti ka mukh
har pal hun ghera purane yaadon ke sath
bas mera yaar hi nhi ab mere paas

Suvasis...

Comments

Popular posts from this blog

Tera Sath

Tamanna

Tu hi hai