Zindagi
zindagi wo neele samandar si hoti hai kabhi kanhi khayi to kabhi lehre si hoti hai bhale hi dikhe wo bahar se hasti muskurati par andar se apne wo gum chupayi roti hai Zindagi ek band kitaab si hoti hai har ek panne me koi kissa likhi rehti hai chahe jitne purane kyun na ho koi kissa aati hai yaad wo sab kisse ki jaise panno me sukhe gulab dabi rehti hai Zindagi ek sukhe patte ki tarah hoti hai najane kitne hawa ka jhoka use uda le jati hai na kehta kabhi kuch un behti hawao ko bas chupke se unke khusi me khudko dubo de jati hai Zindagi ek behti jharna si hoti hai takra k patharo se v muskurati rehti hai hota hai dard un patharo se takra k use par us dard bhari awazo se bhi sabke dilko lubha de jati hai hai kayi rup , hai kayi naam bas chalna hai uska hi kaam sukh kabhi deti to dukh kabhi par har ek bar ek paath padha de jati hai Everyone learns something from their past . It doesn't matter, whether the past was good or bad