Posts

Tera Sath

Ye din yunhi kat si jaye Tere sang wo mere yaar Na chahu me kuch aur bas Mera sath rahe mera pyar Tujhe paya jo me kho sa gaya Yunhi din k sitaaro me Tere hath me yu so sa gaya Tere khwab ki chahon me Yunhi chalti rahe ye zindagi Bas itni si dua meri Na kisiki nazar bas dua hi sada Ab barse raho me teri Rahun sukru guzar tere pyar ka Jo choona mujhe tune Is dil main hai bhar diya Jo pyar sa tune Kuch na tha main tere pehle se Kuch khasa banaya hai Is naacheez ko tune oh sanam Insaan banaya hai Hai jaan tu arman tu Mere dilka hai ehsaas tu Tujhe paake mujhe hai sab mila Khuda ka anmol enaam tu Adhura me tha is duniya me Jo pura kiya wo insaan tu Tujhe pake mujhe hai sab mila Aur kya mangu is duniya se Bas tera sath rahe is jaan me Aur tera naam jude mere har ek armaan main Love u my life. Thanks for being mine. It just a small journey that we have covered. We have a lot to do lot to live. Love u so much

Ye sard hawa

Har saal hai aati ye sard hawa Par isbaar to kuch khas hai Aisa lagta is hawa me Bas tera hi ehsaas hai Ye hawa to unke wanha Kabhi sard me behta hoga Ye hawa to unko bhi Kabhi kuch baaten kehta hoga Man krta hai thaam lun In hawa ko apne bahon me Kyn ke ye hawa ne unko bhi Kabhi pyar se sameta hoga Jo bhi baaten krta hn mein Chupke se in hawao se ye hawa jab gujarti hogi Unke ghar k raho se Kya ye hawa mere baato ko Unke paas pohonchata hoga Kya un sab pyari baato ko Unke kaano me kehta hoga Bas kuch din ki to baat hai Ab ye baate sidhi hogi Baate in hawa se nahi Ab to bas deedaar si hogi Khayalo se utar k ab Bas wo mere pass hogi Dekha hun ab tak unko me Mere wo sard khwabo me Aayegi jab wo saamne mere Bas bharlunga mere bahome Kehdunga kitna pyar hai Mere ruhh se bhi ikraar hai Manzil ka koi fikar kanha Jab tere jaisa yaar hai Suvasis... x

Tere Liye

Yuhi bethi rahe tu palko me bas dekta rahun in aankho ko na dur karun apni nazron se bas thame rahun in bahon ko Meri jaan ye ab teri hai saari khusi bas teri hai jo karna hai tu karle ab puri zindagi bas teri hai Hai tu pagal thodi si hai tu nadaan thodi si par tere zid ke aage to main jhukadun is duniya ko Mere zindagi ab bas tu hi hai maine dekha hai in lakiro ko ab sath sath chalna hai hume thame in sone haato ko Mere soch me ab bas tuhi hai tu puch le mere sanso ko le yakin ab karle mujhe kabhi padh le meri ankho ko Na dur kabhi reh sakta tujhse na dur kabhi main jaunga tere sath sath har ek pal ko main has has ke yunhi bitaunga Suvasis...

Tu hi

Mere man ki baat padh le tu Mera man ka manzil tu hi hai Ishq ka pata kisise kya puchun Is ishq ka rasta tu hi hai Hai chupa ek gehra rishta jo Kanhi tujhse mere dilse hai Jiske liye main ho jaun kurban Wo ek hi insaan tu hi hai Na juban se bayan kar paun Mere ankho se sab padhle tu Is naachiz jisne mol diya Wohi anmol bas tu hi hai Is pyare se rishte ko ab Na humesa bayan kar paun Jiske liye he jaan he likhdi Is jaan ka malik ab tu hi hai Le sab kuch tera krdiye Ab kaise bataun kya ho tum Jise hai chaha sadiyo se Wo ek farista tu hi hai Suvasis...

To Jo Mila

Hun khusnasib, na hai koi gila tere pyar me jabse ye dil hai khila besabar hun tere ek didaar k liye aur kya chahun jab mujhe tu hai mila Kismat ka dastoor to dekho le aaya hum dono ko kanha jise jante the bachpan se hum humari manzil bhi thi wanha Na soche the na aagaz tha phir bhi milgaye hum dono aise doorie thi milo ki bich me par mile hum hua koi karisma jaise Shukriya tere oh khuda jo tune isse milwaya hai tere karz na kabhi ada kar paun is anmol ko jo maine paya hai Meherbani jo tune hai kiya is nachiz jo itna pyar jo diya na socha kabhi milega aisa koi jo mere ruh me ek jaan hai diya Suvasis...

Tumhari Yaadein

Ye lehrati hawa jaise kuch keh si jati hai Ye sansanati mousam jaise bahon me bhar aati hai in sab me bhi na jane koi hai is dilme me jiski yaad humein aksar humesa aati hai Uski hoto ki muskan uski aankho ki chamak is dilko lubha jati hai yaadon me bhi uski pyari si tasveer in aankho me ban si jati hai Wo hato ka chuna wo chanchal si baate wo milne ki khwaish wo sundar si raate chahte to milna har roz hum unse bas chah kar bhi hum unse na mil pate Hum milne ko unse taraste rehte wo aane ki raha dekhte rehte par milne ka waqt jab bhi aata wo waqt bhi jaise jhat se beet jaate Aayega wo din bas paas honge hum phir na rahegi doori na rahega gum rahenge hum itne khusi se ki kat jayega ye zindagi aur saato janam Suvasis...

Sab Tera

Hai bhulke is duniya ko kanhi mera naam tere naam se likh di aur kya dun tujhe e bata oh janeman ab to meri saans bhi tere naam kardi Tha lapata kanhi is bhari duniya me the gumsuda tum mere dilki aawazo me di dashtak tune is zindagi me aisa ab tuhi tu hai mere har khayalo me Pyar ka matlab sikhaya tune hai is labz ki ehmiyat bataya tune hai jee to raha tha ek bezaan laas ki tarah is zindagi ko insaa banaya tune hai Paake tujhe jaise rab ko paa liya ek palme hi is naazhiz ko jeena sikha diya koi karta hai kisise itna bhi pyar aaj tune wo mujhe kar ke batladiya Kehne ko to tu hai pyari si gudia meri aankho me kabhi dekhun na tere aasun kabhi ye zindagi meri tere khusiyo k liye hai na rahun kabhi ek pal bhi tujhse juda kabhi Hai khwasiye sabhi ab tere naam k sajaye meri khusiya bhi ab tere hoton se aaye hai to duniya me kayi aur bhi log par na jane is dilko to bas yahi bhaye Suvasis...