Posts

Showing posts from 2017

Tu hi

Mere man ki baat padh le tu Mera man ka manzil tu hi hai Ishq ka pata kisise kya puchun Is ishq ka rasta tu hi hai Hai chupa ek gehra rishta jo Kanhi tujhse mere dilse hai Jiske liye main ho jaun kurban Wo ek hi insaan tu hi hai Na juban se bayan kar paun Mere ankho se sab padhle tu Is naachiz jisne mol diya Wohi anmol bas tu hi hai Is pyare se rishte ko ab Na humesa bayan kar paun Jiske liye he jaan he likhdi Is jaan ka malik ab tu hi hai Le sab kuch tera krdiye Ab kaise bataun kya ho tum Jise hai chaha sadiyo se Wo ek farista tu hi hai Suvasis...

To Jo Mila

Hun khusnasib, na hai koi gila tere pyar me jabse ye dil hai khila besabar hun tere ek didaar k liye aur kya chahun jab mujhe tu hai mila Kismat ka dastoor to dekho le aaya hum dono ko kanha jise jante the bachpan se hum humari manzil bhi thi wanha Na soche the na aagaz tha phir bhi milgaye hum dono aise doorie thi milo ki bich me par mile hum hua koi karisma jaise Shukriya tere oh khuda jo tune isse milwaya hai tere karz na kabhi ada kar paun is anmol ko jo maine paya hai Meherbani jo tune hai kiya is nachiz jo itna pyar jo diya na socha kabhi milega aisa koi jo mere ruh me ek jaan hai diya Suvasis...

Tumhari Yaadein

Ye lehrati hawa jaise kuch keh si jati hai Ye sansanati mousam jaise bahon me bhar aati hai in sab me bhi na jane koi hai is dilme me jiski yaad humein aksar humesa aati hai Uski hoto ki muskan uski aankho ki chamak is dilko lubha jati hai yaadon me bhi uski pyari si tasveer in aankho me ban si jati hai Wo hato ka chuna wo chanchal si baate wo milne ki khwaish wo sundar si raate chahte to milna har roz hum unse bas chah kar bhi hum unse na mil pate Hum milne ko unse taraste rehte wo aane ki raha dekhte rehte par milne ka waqt jab bhi aata wo waqt bhi jaise jhat se beet jaate Aayega wo din bas paas honge hum phir na rahegi doori na rahega gum rahenge hum itne khusi se ki kat jayega ye zindagi aur saato janam Suvasis...

Sab Tera

Hai bhulke is duniya ko kanhi mera naam tere naam se likh di aur kya dun tujhe e bata oh janeman ab to meri saans bhi tere naam kardi Tha lapata kanhi is bhari duniya me the gumsuda tum mere dilki aawazo me di dashtak tune is zindagi me aisa ab tuhi tu hai mere har khayalo me Pyar ka matlab sikhaya tune hai is labz ki ehmiyat bataya tune hai jee to raha tha ek bezaan laas ki tarah is zindagi ko insaa banaya tune hai Paake tujhe jaise rab ko paa liya ek palme hi is naazhiz ko jeena sikha diya koi karta hai kisise itna bhi pyar aaj tune wo mujhe kar ke batladiya Kehne ko to tu hai pyari si gudia meri aankho me kabhi dekhun na tere aasun kabhi ye zindagi meri tere khusiyo k liye hai na rahun kabhi ek pal bhi tujhse juda kabhi Hai khwasiye sabhi ab tere naam k sajaye meri khusiya bhi ab tere hoton se aaye hai to duniya me kayi aur bhi log par na jane is dilko to bas yahi bhaye Suvasis...

Khwayise

Image
Kash ye zindagi ek hawa si banjati khwabo ki parinde ko ek udan si mil jati palke jhapakte hi pohonch jate hum unke pass jab kabhi hum unhe ya hume unki yaad aati Waise to roz mulakat unse hoti hai dilki dhankano se baat to hoti hai ye hakikat nahi han jante hai hum din me na sahi par har raat to hoti hai Hai hoti hai unse har dinki surwaat sulate hai wo roz hume har raat yaado me khoye rehte hai hum unke kya bataye unko kuch unme aisi hai baat Har pal hai rehta bas tera hi khayal kya me sochun ab tere siva mere yaar na reh pata sayad tere bina ek pal isliye khuda ne bhi likhdi mere haato me tera pyar Hai khwayise meri tujhe pyar karun teri har ek dua me mera khwab bunu jaan bhi kardun kurban tere naam zindagi bhar tere hi aawaaz sunu Hai maan liya hai sab kuch tumko ab bhata nhi kuch tere siva dilko mil jayega sukun is zindagi ko sanam bas ek baar bahon me bharle tu humko Suvasis...

Teri Rehmat

Hai sukru karun us rab ka jisne tujhse milaya hai hai duao ka aur khuda ki meherbani jo tu mere zindagi me aaya hai Hai paya jo ye tere pyar hun sambhla me is zindagi me tu chayi hai is kadar mere dilme tu har khwab me tu bandagi me Hai ehsaas tera har saans me meri hai khwab tera har raato me chahun me tujhe is kadar se likhdun teri khwaish mere in haaton me Nasamajh tha me sach me mujhe samjhaya tune hai is khali zindagi ko oh sanam kuch khas banaya tune hai Jo thama hai tera hath dun saato janam tak sath mangun dua me tujhe har janam k liye bas hothon pe ho tera hi baat Judhgaye ho tum mere rag rag se mera zindagi ka hal pal ab tujhse duniya k saamne apna banaya hai tujhe ab pyar karne ka dar hai kisse Hai karta hun pyar tujhe jaan se jada na dekhun tere aankhon me aansun kabhi chahe kimat chukani pade meri jaan ki badle me kharidlun teri khusiyan sabhi Suva...

Rishtein

Jab meethe meethe yaado me kisike kat jate hai raste jab har pal kabhi koi khwabo me kabhi saanso me hai baste tab do dil ke bich banjate hai kuch anmol se rishte Aisa hi kuch rishta hai ye tera aur mera baat nhi hai aajka, saalo se hai basera kuch hasi kuch gum ko liye beete jo wo din ab to khusiya hi khusiya hai bas ab na reh paye tere bin Kuch anokha sa hai rishta humara koi samajh paye na isse bas tu jane aur me janu kuch khas hai ye bas hum jane hume dikhlane hai ye kise Jab jab sath rehte hai hum wo lamha har pal khas lagta hai ek dusre ke bina kanha kabhi aur kuch is dilko bhata hai Beet jate hai wo pal aise jaise mutthi bar koi ret ho roklene ko jee chahta hai uspal ko jis pal me hum sath ho Kuch badmasi kuch setaani ye to humari fitrat hai par ek dusre ka sath humko ye lagta hai jarurat hai Hum ladte hai jhagde hai kuch alag se hi rehte hai chahe jitni bhi ho uljhane par ek dusre pe marte hai Koi kehta hai ye bachpan ka pyar to koi kehta hai line maarte the par sach to yahi

Tu hi tu

Image
In hawaon mein in saanon mein mere dil ki in dhadkan mein tere siva aur kuch bhi nahi tu yaadon me tu hi khwabo mein hai dekhun koi jo khwab kabhi mangu khuda se bas tera ho jab aaye kabhi jo yaad koi bolun khuda se wo tera ho hath thamu jab bhi zindagi me wo hath humesa bas tera ho tera saath mila to khudse mila tune pehchana to khudko jana na bol paya kabhi tujhse ye baat bachpan se tujhe hai apna mana Mere rag rag me bas tuhi samaya hai lakho me bas tu hi dilko bhaya hai kanha rehta hun akele main aajkal har jagah to bas tujhe hi paya hai hai dua meri aur khwaise bhi bas naam tera mere hotoh pe saje khulun palke jab bhi me kabhi teri tasveer ya bas tu hi dikhe Love you till my last breath. Suva...

Tujhse hai Zindagi

Image
Mera din hai tu mera raat bhi hai subuha tujhse aur sham bhi na beete ek pal kabhi tere bina bas yahi dua hai rab se bhi Hai rehte har pal in yaadon me tumhe dekhoon har raat in khwabo me banjaun parchayin ye khwaish hai meri bas chalta rahun tere sath har raho me Kaise kahun tumse kitna pyar hai jaan ho tum tumse meri jaan hai lo kardiye zindagi sab tere naam bas yahi ek khwaish yahi armaan hai Hai khusi bhi tu har nami me tu mere dilki har dhadkan me tu tujhe iskadar rakha is dilme ki mere har ek saans me bas tu hi tu Mein bharlun tujhe in bahoon me bas dedun har khusi aur churalun saare gum aansun na aane dun tere palko pe bas khusiyan hi khusiyan ho tere in hoton pe Bas pyar nhi tum mere zindagi ho mere har khwaish tum bandagi ho mangu main khuda se bas tera hi sath tum hi mere labz tum hi mausiqui ho Hai rehna hai sath ab zindagi bhar thama hai ye hath jo tera maine na jaun kabhi dur tumse oh sanam kyun ki t

Tu hi hai

Na door hai tu mujhse naahi mere paas hai jo dikhe humesa khwabo me sach hojaye bas yahi aash hai Is dilme basi tu rehti hai tujhse door na reh paaye jab v saanse lete hai bas tu hi tu yaad aaye Hai teri yaadein hai tere sapne mere khwab hai tu armaan bhi tu sath hai ye khusnasibi hai meri tera pyar hai ye aur ehsaan bhi Han hoon me pagal tere liye hai itni khusi zindagi me bas tere liye nichar dunga khusi humesa tere palko pe hai sabkuch mera bas tere liye Na jaunga main door tumse kabhi naahi jee paunga door rehke bas tham le tu in haato ko mere kaatlenge zindagi has has ke Hai tujhse har khusi,hai tujhse har gum le sab hai bhul hum paas tumhare aagaye na dar hai mujhe kisi baat ki aur jabse tum mere humsafar bangaye Suvasis...

Humrahi

Na soche the kabhi mulakat bhi hoga ek din kabhi tumse baat bhi hoga mile to jane kya ho tum kise pata tha kabhi tumse pyar bhi hoga Bade muskil se maine is dil se pucha kya chahta hai wo uske manzil se pucha dil ne kaha bohat chahta hai tumhe usdin se tere siba na koi hai duja Tere har ek muskan se pyar hogaya wo bachkana harkat se pyar hogaya dedu tujhe zindagi bhar ki khusi bas is aas se ye dil tumhara hogaya Chahe har pal tere paas hi rahe tujko sada yunhi paate rahe dil jhum uthe dekh k teri muskurahat ko bas us muskaan ko tere chehre pe bunte rahe Rahenge sada harpal paas tere kardiye hawale ye zindagi mere na jayenge kabhi door tumse hum ye wada hai tumse pure dilse mere Chahte hai khus rahe tu humesa dekhbhal kare bas zindagi bhar aisa na kbhi koi dukh aane denge tere paas zindagi kat jayega haste huye jaisa Hai karle yakin in baaton ko kabhi karenge pyar najayenge door kabhi likhenge hum apne zindagi ki kitaab aajao tum mere zindagi me kabhi

Wo yaadein

wo yaadein kuch khas hai wo beete pal humesa paas hai na padhoge kabhi tum jante hai hum par phir v kyun na jane is dil me ek aas hai tha wo ek aisa rishta na kabhi bhul payenge zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge wo ladna wo jhagadna wo ruthna wo manana wo pyar bhari baato se phir kuch keh jana wo masti bhare din na kabhi aur payenge zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge anjaane me hi sahi galti kiya tha humne ek pyarisi dosti ko tod diya tha humne na milega aisa yaar na kabhi aur payenge zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge dosti chuti rishta tuta, tuta sara biswaas aag lagi thi seene me na bujhne ki thi aas khud ko kabhi hum na maaf kar payenge zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge kya dur huye tum, door huye saare rishte ab kaise sambhale inko bas yahi hum hai sochte na jane ab phir khud kab sambhal payenge zindagi koi bhi mod lele wo humesa yaad aayenge usdin se na jane kis mode pe chali hai zindagi na khu